گلہ ہوتا ہے آشنائی میںآشنائی نہیں تو پھر کیا ہےgila hotā hai āshnā.ī meñāshnā.ī nahīñ to phir kyā haiShikwaبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
واں رسائی نہیں تو پھر کیا ہےیہ جدائی نہیں تو پھر کیا ہےvaañ rasā.ī nahīñ to phir kyā haiye judā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہو ملاقات تو صفائی سےاور صفائی نہیں تو پھر کیا ہےho mulāqāt to safā.ī seaur safā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دل ربا کو ہے دل ربائی شرطدل ربائی نہیں تو پھر کیا ہےdilrubā ko hai dilrubā.ī shartdilrubā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اللہ اللہ رے ان بتوں کا غروریہ خدائی نہیں تو پھر کیا ہےallāh allāh re un butoñ kā ġhurūrye ḳhudā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
تم ملوگے نہ وہاں بھی ہم سےحشر سے پہلے گلہ کرتے ہیںtum miloge na vahāñ bhī ham sehashr se pahle gila karte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کرتے ہو شکوہ کس کا تم اور بے وفائیسر پیٹتے ہیں اپنا ہم اور نیک نامیkarte ho shikva kis kā tum aur bevafā.īsar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmīمرزا غالبMirza Ghalib
اک مفلس خود دار یہ کہتا تھا خدا سےمیں کر نہیں سکتا گلہء درد فقیریEk Muflas-e-Khud-Dar Ye Kehta Tha Khuda SeMain Kar Nahin Sakta Gila-e-Dard-e-Faqeeriعلامہ اقبالAllama Iqbal
شکوہ ہمارا ہے بجا مفت بروں سے کس لیےہم نے تو اپنا دل دیا ہم کو کسی نے کیا دیانظیر اکبرآبادیNazeer Akbarabadi