ہو ملاقات تو صفائی سےاور صفائی نہیں تو پھر کیا ہےho mulāqāt to safā.ī seaur safā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
واں رسائی نہیں تو پھر کیا ہےیہ جدائی نہیں تو پھر کیا ہےvaañ rasā.ī nahīñ to phir kyā haiye judā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دل ربا کو ہے دل ربائی شرطدل ربائی نہیں تو پھر کیا ہےdilrubā ko hai dilrubā.ī shartdilrubā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گلہ ہوتا ہے آشنائی میںآشنائی نہیں تو پھر کیا ہےgila hotā hai āshnā.ī meñāshnā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اللہ اللہ رے ان بتوں کا غروریہ خدائی نہیں تو پھر کیا ہےallāh allāh re un butoñ kā ġhurūrye ḳhudā.ī nahīñ to phir kyā haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar