vaa.iz ne burī nazar se dekhāmai shīshe meñ ḳhuun ho ga.ī hai
aaj tashrīf gulistāñ meñ vo mai-kash laayākaf-e-nargis pe dharā kyūñki bhalā jaam na ho
ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazabki Daal hī diyā duniyā kā baar ham par bhī
be-minnat-e-sharāb huuñ sarshār-e-imbisāttujh nain kā ḳhayāl mujhe jām-e-jam huā
vo bhī saaqī mujhe nahīñ detāvo jo TuuTā paḌā hai jaam ḳharāb
mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tañgsaaqī se jaam bhar ke pilāyā na jā.egā
darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish kosub.h-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise
digar-gūñ hai jahāñ tāroñ kī gardish tez hai saaqīdil-e-har-zarra meñ ġhauġhā-e-rustā-ḳhez hai saaqī
jāma-e-ehrām-e-zāhid par na jāthā haram meñ lek nā-mahram rahā
mai-ḳhāna hai usī kā ye duniyā usī kī haijis tishna-lab ke haath meñ jām-e-sharāb hai
hoñToñ pe aaj tak haiñ shab-e-aish ke mazesaaqī kā lab liyā lab-e-paimāna chhoḌ kar
piyūñ na rashk se ḳhuuñ kyūñki dam-ba-dam apnāki saath ġhair ke vo aaj ham-sharāb huā
fasl-e-gul ke aate hī 'akbar' hue behosh aapkholiye āñkhoñ ko sāhab jām-e-sahbā lījiye
mire dil kuuñ kiyā be-ḳhud tirī añkhiyāñ ne āḳhir kuuñki jyuuñ behosh kartī hai sharāb āhista āhista
ek sāġhar par hai apnī zindagīrafta rafta is se bhī kam kyā kareñ
haiñ daur-e-jām-e-avval-e-shab meñ ḳhudī se duurhotī hai aaj dekhiye ham ko sahar kahāñ
chashm-e-mā raushan ki us bedard kā dil shaad haidīda-e-pur-ḳhūñ hamārā sāġhar-e-sarshār-e-dost
matā-e-dīn-o-dānish luT ga.ī allāh-vāloñ kīye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
ḳharāb rahte the masjid ke aage mai-ḳhānenigāh-e-mast ne saaqī kī intiqām liyā
ai mohtasib na pheñk mire mohtasib na pheñkzālim sharāb hai are zālim sharāb hai
labrez jām-e-umr huā aa ga.ī ajallo uTh ga.e bharā huā paimāna chhoḌ kar
tumhāre lab ke lab-e-jām ne liye boselab apne kaaTā kiyā maiñ na kāmyāb huā
us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begānamaqsūd hai us mai se dil hī meñ jo khiñchtī hai
barjā hai gar sunūñ na.iiñ nāseh tirī nasīhatmaiñ jām-e-ishq pī kar mastāna ho rahā huuñ
samajhtā hai tū 'dāġh' ko rind zāhidmagar rind us ko valī jānte haiñ
'hālī' nashāt-e-naġhma-o-mai DhūñDhte ho abaa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahāñ
laġhzishat-e-mastāna o josh-e-tamāshā hai 'asad'ātish-e-mai se bahār-e-garmī-e-bāzār-e-dost
vahī derīna bīmārī vahī nā-mohkamī dil kīilaaj is kā vahī āb-e-nashāt-añgez hai saaqī
'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñsaarī mastī sharāb kī sī hai