kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñāvāz-e-shikast-e-dil hī to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ
rindān-e-mai-kada bhī haiñ ai ḳhizr muntazirbastī meñ aa.iye kabhī vīrāna chhoḌ kar
saaqī ne diyā kyā mujhe ik sāġhar-e-sarshārgoyā ki do aalam se 'zafar' be-ḳhabarī dī
ai shauq vahī mai pī ai hosh zarā so jāmehmān-e-nazar is dam ek barq-e-tajallī hai
har sahar shoḳh kī nigah kī sharābmujh añkhāñ kā ḳhumār khotī hai
pūchhiye mai-kashoñ se lutf-e-sharābye mazā pāk-bāz kyā jāneñ
haqīqat mahram-e-asrār se pūchhmazā añgūr kā mai-ḳhvār se pūchh
bazm-e-mai vahshat-kada hai kis kī chashm-e-mast kāshīshe meñ nabz-e-parī pinhāñ hai mauj-e-bāda se
haram ke dil meñ soz-e-ārzū paidā nahīñ hotāki paidā.ī tirī ab tak hijāb-āmez hai saaqī
mai-ḳhāna vo manzar hai ki har sub.h jahāñ shaiḳhdīvār pe ḳhurshīd kā mastī se sar aave
zāhid ne kuchh is andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñmai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
ehsān sar pe laġhzish-e-mastāna kā huāham do qadam na jā sake mai-ḳhāna chhoḌ kar
'zafar' apnā karishma gar dikhāyā chashm-e-sāqī netamāshe jām-e-jam ke sab nazar sāġhar meñ āveñge
sach kahte haiñ shaiḳh 'akbar' hai tā.at-e-haq lāzimhaañ tark-e-mai-o-shāhid ye un kī buzurgī hai
husn ke ḳhizr ne kiyā labrezāb-e-haivāñ suuñ jaam tujh lab kā
hameñ chashm-e-bīnā dikhātī hai sab kuchhvo andhe haiñ jo jām-e-jam dekhte haiñ
shaiḳh hai in kī nigah jaadū bharīsohbat-e-rindāñ se bachnā chāhiye
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hairahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
na uTThā phir koī 'rūmī' ajam ke lāla-zāroñ sevahī āb-o-gil-e-īrāñ vahī tabrez hai saaqī
vaa.iz nahīñ kaifiyyat-e-mai-ḳhāna se āgāhyak jur.a badal varna ye mindīl dhar aave
pahle sharāb ziist thī ab ziist hai sharābkoī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ
ro ro ke kar rahī hai surāhī vidā.a usejaatā hai duur duur jo paimāna chhoḌ kar
hamesha chāhtā hai dil ki mil kar kiije mai-noshīmayassar jām-e-mai-e-jam-jam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
bāda-e-gul-rañg kā sāġhar ināyat kar mujhesāqiyā tāḳhīr kyā hai ab ghaTā chhā.ī to hai
misl-e-yāqūt ḳhat meñ hai shāgirdsāġhar-e-mai mudām tujh lab kā
aa.ī mai-ḳhāne se ye kis kī sadālaao yāroñ ke yaar ham bhī haiñ
āḳhirī daur meñ bhī tujh ko qasam hai saaqībhar ke ik jaam na pyāsoñ ko pilānā hargiz
bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā haiġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
nahīñ hai nā-umīd 'iqbāl' apnī kisht-e-vīrāñ sezarā nam ho to ye miTTī bahut zarḳhez hai saaqī
saaqī Tuk ek mausam-e-gul kī taraf bhī dekhTapkā paḌe hai rañg chaman meñ havā se aaj