مرغ بسمل کی طرح لوٹ گیا دل میرانگہ ناز کی تاثیر بھی کیا ہوتی ہےmurġh-e-bismil kī tarah loT gayā dil merānigah-e-nāz kī tāsīr bhī kyā hotī haiHusnاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
آج آرائش گیسوئے دوتا ہوتی ہےپھر مری جان گرفتار بلا ہوتی ہےaaj ārā.ish-e-gesū-e-dotā hotī haiphir mirī jaan giraftār-e-balā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
شوق پابوسیٔ جاناں مجھے باقی ہے ہنوزگھاس جو اگتی ہے تربت پہ حنا ہوتی ہےshauq-e-pā-bosī-e-jānāñ mujhe baaqī hai hanūzghaas jo ugtī hai turbat pe hinā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پھر کسی کام کا باقی نہیں رہتا انساںسچ تو یہ ہے کہ محبت بھی بلا ہوتی ہےphir kisī kaam kā baaqī nahīñ rahtā insāñsach to ye hai ki mohabbat bhī balā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
جو زمیں کوچۂ قاتل میں نکلتی ہے نئیوقف وہ بہر مزار شہدا ہوتی ہےjo zamīñ kūcha-e-qātil meñ nikaltī hai na.īvaqf vo bahr-e-mazār-e-shohadā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
دل طلب گار ناز مہوش ہےلطف اس کا اگرچہ دل کش ہےdil talabgār-e-nāz-e-mah-vash hailutf us kā agarche dilkash haiولی دکنیWali Dakani
شکل آئینہ ظفر سے تو نہ رکھ دل میں خیالکچھ مزا بھی ہے بھلا جان مری لینے میںshakl-e-ā.īna 'zafar' se to na rakh dil meñ ḳhayālkuchh mazā bhī hai bhalā jaan mirī lene meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
معرکہ ہے آج حسن و عشق کادیکھیے وہ کیا کریں ہم کیا کریںma.arka hai aaj husn o ishq kādekhiye vo kyā kareñ ham kyā kareñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جلوہ نہ ہو معنی کا تو صورت کا اثر کیابلبل گل تصویر کا شیدا نہیں ہوتاjalva na ho ma.anī kā to sūrat kā asar kyābulbul gul-e-tasvīr kā shaidā nahīñ hotāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi