بارہا گور دل جھنکا لایااب کے شرط وفا بجا لایاbār-hā gor-e-dil jhañkā laayāab ke shart-e-vafā bajā laayāWafaمیر تقی میرMir Taqi Mir
قدر رکھتی نہ تھی متاع دلسارے عالم میں میں دکھا لایاqadr rakhtī na thī matā-e-dilsaare aalam meñ maiñ dikhā laayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
دل کہ یک قطرہ خوں نہیں ہے بیشایک عالم کے سر بلا لایاdil ki yak qatra ḳhuuñ nahīñ hai beshek aalam ke sar balā laayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
سب پہ جس بار نے گرانی کیاس کو یہ ناتواں اٹھا لایاsab pe jis baar ne girānī kīus ko ye nā-tavāñ uThā laayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
دل مجھے اس گلی میں لے جا کراور بھی خاک میں ملا لایاdil mujhe us galī meñ le jā karaur bhī ḳhaak meñ milā laayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
وفا مقابل و دعواۓ عشق بے بنیادجنون ساختہ و فصل گل قیامت ہےvafā muqābil-o-dāvā-e-ishq be-buniyādjunūn-e-sāḳhta o fasl-e-gul qayāmat haiمرزا غالبMirza Ghalib