وائے دیوانگی شوق کہ ہر دم مجھ کوآپ جانا ادھر اور آپ ہی حیراں ہوناvā-e-dīvāngi-e-shauq ki har dam mujh koaap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
بسکہ دشوار ہے ہر کام کا آساں ہوناآدمی کو بھی میسر نہیں انساں ہوناbas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honāaadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
گریہ چاہے ہے خرابی مرے کاشانے کیدر و دیوار سے ٹپکے ہے بیاباں ہوناgirya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kīdar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
جلوہ از بس کہ تقاضائے نگہ کرتا ہےجوہر آئنہ بھی چاہے ہے مژگاں ہوناjalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā haijauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
عشرت قتل گہہ اہل تمنا مت پوچھعید نظارہ ہے شمشیر کا عریاں ہوناishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchhīd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib