گریہ چاہے ہے خرابی مرے کاشانے کیدر و دیوار سے ٹپکے ہے بیاباں ہوناgirya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kīdar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honāGhamMautمرزا غالبMirza Ghalib
بسکہ دشوار ہے ہر کام کا آساں ہوناآدمی کو بھی میسر نہیں انساں ہوناbas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honāaadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
وائے دیوانگی شوق کہ ہر دم مجھ کوآپ جانا ادھر اور آپ ہی حیراں ہوناvā-e-dīvāngi-e-shauq ki har dam mujh koaap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
جلوہ از بس کہ تقاضائے نگہ کرتا ہےجوہر آئنہ بھی چاہے ہے مژگاں ہوناjalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā haijauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
عشرت قتل گہہ اہل تمنا مت پوچھعید نظارہ ہے شمشیر کا عریاں ہوناishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchhīd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honāمرزا غالبMirza Ghalib
جنہیں کہئے عشق کی وسعتیں جو ہیں خاص حسن کی عظمتیںیہ اسی کے قلب سے پوچھئے جسے فخر ہو غم یار پرjinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār parجگر مرادآبادیJigar Moradabadi