بچتے نہیں مواخذۂ روز حشر سےقاتل اگر رقیب ہے تو تم گواہ ہوbachte nahīñ muvāḳhaza-e-roz-e-hashr seqātil agar raqīb hai to tum gavāh hoمرزا غالبMirza Ghalib
تم جانو تم کو غیر سے جو رسم و راہ ہومجھ کو بھی پوچھتے رہو تو کیا گناہ ہوtum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh homujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh hoمرزا غالبMirza Ghalib
کیا وہ بھی بے گنہ کش و حق ناشناس ہیںمانا کہ تم بشر نہیں خورشید و ماہ ہوkyā vo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñmaanā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o maah hoمرزا غالبMirza Ghalib
ابھرا ہوا نقاب میں ہے ان کے ایک تارمرتا ہوں میں کہ یہ نہ کسی کی نگاہ ہوubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek taarmartā huuñ maiñ ki ye na kisī kī nigāh hoمرزا غالبMirza Ghalib
جب مے کدہ چھٹا تو پھر اب کیا جگہ کی قیدمسجد ہو مدرسہ ہو کوئی خانقاہ ہوjab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah kī qaidmasjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh hoمرزا غالبMirza Ghalib