ہم ہیں مشتاق اور وہ بیزاریا الہی یہ ماجرا کیا ہےham haiñ mushtāq aur vo be-zāryā ilāhī ye mājrā kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
دل ناداں تجھے ہوا کیا ہےآخر اس درد کی دوا کیا ہےdil-e-nādāñ tujhe huā kyā haiāḳhir is dard kī davā kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
میں بھی منہ میں زبان رکھتا ہوںکاش پوچھو کہ مدعا کیا ہےmaiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñkaash pūchho ki mudda.ā kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
جب کہ تجھ بن نہیں کوئی موجودپھر یہ ہنگامہ اے خدا کیا ہےjab ki tujh bin nahīñ koī maujūdphir ye hañgāma ai ḳhudā kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
یہ پری چہرہ لوگ کیسے ہیںغمزہ و عشوہ و ادا کیا ہےye parī-chehra log kaise haiñġhamza o ishva o adā kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib