دم سے یوسف کے جب آباد تھا یعقوب کا گھرچرخ کہتا تھا کہ یہ بیت حزن کس کا ہےdam se yūsuf ke jab ābād thā yāqūb kā gharcharḳh kahtā thā ki ye bait-e-huzan kis kā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
کبک و قمری میں ہے جھگڑا کہ چمن کس کا ہےکل بتا دے گی خزاں یہ کہ وطن کس کا ہےkabk o qumrī meñ hai jhagḌā ki chaman kis kā haikal batā degī ḳhizāñ ye ki vatan kis kā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
فیصلہ گردش دوراں نے کیا ہے سو بارمرو کس کا ہے بدخشان و ختن کس کا ہےfaisla gardish-e-daurāñ ne kiyā hai sau baarmarv kis kā hai badaḳhshān o ḳhutan kis kā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
مطمئن اس سے مسلماں نہ مسیحی نہ یہوددوست کیا جانئے یہ چرخ کہن کس کا ہےmutma.in is se musalmāñ na masīhī na yahūddost kyā jāniye ye charḳh-e-kuhan kis kā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
واعظ اک عیب سے تو پاک ہے یا ذات خداورنہ بے عیب زمانہ میں چلن کس کا ہےvaa.iz ik aib se tū paak hai yā zāt-e-ḳhudāvarna be-aib zamāne meñ chalan kis kā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali