علاج ضعف یقیں ان سے ہو نہیں سکتاغریب اگرچہ ہیں رازی کے نکتہ ہاے دقیقilāj-e-zof-e-yaqīñ in se ho nahīñ saktāġharīb agarche haiñ 'rāzī' ke nukta-hā-e-daqīqعلامہ اقبالAllama Iqbal
ہزار خوف ہو لیکن زباں ہو دل کی رفیقیہی رہا ہے ازل سے قلندروں کا طریقhazār ḳhauf ho lekin zabāñ ho dil kī rafīqyahī rahā hai azal se qalandaroñ kā tarīqعلامہ اقبالAllama Iqbal
ہجوم کیوں ہے زیادہ شراب خانے میںفقط یہ بات کہ پیر مغاں ہے مرد خلیقhujūm kyuuñ hai ziyāda sharāb-ḳhāne meñfaqat ye baat ki pīr-e-muġhāñ hai mard-e-ḳhalīqعلامہ اقبالAllama Iqbal
مرید سادہ تو رو رو کے ہو گیا تائبخدا کرے کہ ملے شیخ کو بھی یہ توفیقmurīd-e-sāda to ro ro ke ho gayā taa.ibḳhudā kare ki mile shaiḳh ko bhī ye taufīqعلامہ اقبالAllama Iqbal
اسی طلسم کہن میں اسیر ہے آدمبغل میں اس کی ہیں اب تک بتان عہد عتیقusī tilism-e-kuhan meñ asiir hai aadambaġhal meñ us kī haiñ ab tak butān-e-ahd-e-atīqعلامہ اقبالAllama Iqbal