جہنم ہو کہ جنت جو بھی ہوگا فیصلہ ہوگایہ کیا کم ہے ہمارا اور ان کا سامنا ہوگاjahannam ho ki jannat jo bhī hogā faisla hogāye kyā kam hai hamārā aur un kā sāmnā hogāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
تجھی سے ابتدا ہے تو ہی اک دن انتہا ہوگاصدائے ساز ہوگی اور نہ ساز بے صدا ہوگاtujhī se ibtidā hai tū hī ik din intihā hogāsadā-e-sāz hogī aur na sāz-e-be-sadā hogāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
ہمیں معلوم ہے ہم سے سنو محشر میں کیا ہوگاسب اس کو دیکھتے ہوں گے وہ ہم کو دیکھتا ہوگاhameñ ma.alūm hai ham se suno mahshar meñ kyā hogāsab us ko dekhte hoñge vo ham ko dekhtā hogāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
سر محشر ہم ایسے عاصیوں کا اور کیا ہوگادر جنت نہ وا ہوگا در رحمت تو وا ہوگاsar-e-mahshar ham aise āsiyoñ kā aur kyā hogādar-e-jannat na vā hogā dar-e-rahmat to vā hogāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
ازل ہو یا ابد دونوں اسیر زلف حضرت ہیںجدھر نظریں اٹھاؤ گے یہی اک سلسلا ہوگاazal ho yā abad donoñ asīr-e-zulf-e-hazrat haiñjidhar nazreñ uThāoge yahī ik silsilā hogāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi