اس گریۂ خونیں کا ہو ضبط تو بہتر ہےاچھا نہیں چہرے پر لوہو کا بہا جاناis girya-e-ḳhūnīñ kā ho zabt to behtar haiachchhā nahīñ chehre par lohū kā bahā jaanāمیر تقی میرMir Taqi Mir
لذت سے نہیں خالی جانوں کا کھپا جاناکب خضر و مسیحا نے مرنے کا مزہ جاناlazzat se nahīñ ḳhālī jānoñ kā khapā jaanākab ḳhizr o masīhā ne marne kā maza jaanāمیر تقی میرMir Taqi Mir
ہم جاہ و حشم یاں کا کیا کہیے کہ کیا جاناخاتم کو سلیماں کی انگشتر پا جاناham jāh-o-hasham yaañ kā kyā kahiye ki kyā jaanāḳhātim ko sulaimāñ kī añgushtar-e-pā jaanāمیر تقی میرMir Taqi Mir
یہ بھی ہے ادا کوئی خورشید نمط پیارےمنہ صبح دکھا جانا پھر شام چھپا جاناye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāremuñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanāمیر تقی میرMir Taqi Mir
کب بندگی میری سی بندہ کرے گا کوئیجانے ہے خدا اس کو میں تجھ کو خدا جاناkab bandagī merī sī banda karegā koījaane hai ḳhudā us ko maiñ tujh ko ḳhudā jaanāمیر تقی میرMir Taqi Mir