رمزِ زندگیRamz E Zindagi

لذت سے نہیں خالی جانوں کا کھپا جانا

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 16 sher · Roman Urdu ke saath

lazzat se nahīñ ḳhālī jānoñ kā khapā jaanākab ḳhizr o masīhā ne marne kā maza jaanā
ham jāh-o-hasham yaañ kā kyā kahiye ki kyā jaanāḳhātim ko sulaimāñ kī añgushtar-e-pā jaanā
ye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāremuñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanā
kab bandagī merī sī banda karegā koījaane hai ḳhudā us ko maiñ tujh ko ḳhudā jaanā
thā naaz bahut ham ko dānist par apnī bhīāḳhir vo burā niklā ham jis ko bhalā jaanā
gardan-kashī kyā hāsil mānind bagūle kīis dasht meñ sar gaaḌe juuñ sail chalā jaanā
is girya-e-ḳhūnīñ kā ho zabt to behtar haiachchhā nahīñ chehre par lohū kā bahā jaanā
ye naqsh diloñ par se jaane kā nahīñ us koāshiq ke huqūq aa kar nāhaq bhī miTā jaanā
Dhab dekhne kā īdhar aisā hī tumhārā thājaate to ho par ham se Tuk aañkh milā jaanā
us sham.a kī majlis meñ jaanā hameñ phir vaañ seik zaḳhm-e-zabāñ taaza har roz uThā jaanā
ai shor-e-qayāmat ham sote hī na rah jāveñis raah se nikle to ham ko bhī jagā jaanā
kyā paanī ke mol aa kar mālik ne guhar bechāhai saḳht girāñ sastā yūsuf kā bikā jaanā
hai merī tirī nisbat ruuh aur jasad kī sīkab aap se maiñ tujh ko ai jaan judā jaanā
jaatī hai guzar jī par us vaqt qayāmat sīyaad aave hai jab terā yak-bārgī aa jaanā
barsoñ se mire us kī rahtī hai yahī sohbatteġh us ko uThānā to sar mujh ko jhukā jaanā
kab 'mīr' basar aa.e tum vaise farebī sedil ko to lagā baiThe lekin na lagā jaanā