کروں ذکر کیا میں شباب کا سنے کون قصہ یہ خواب کایہ وہ رات تھی کہ گزر گئی یہ وہ نشہ تھا کہ اتر گیاkarūñ zikr kyā maiñ shabāb kā sune kaun qissa ye ḳhvāb kāye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayāRaatنظم طباطبائیNazm Tabatabai
یہ ہوا مآل حباب کا جو ہوا میں بھر کے ابھر گیاکہ صدا ہے لطمۂ موج کی سر پر غرور کدھر گیاye huā ma.aal hubāb kā jo havā meñ bhar ke ubhar gayāki sadā hai lutma-e-mauj kī sar-e-pur-ġhurūr kidhar gayāنظم طباطبائیNazm Tabatabai
مجھے جذب دل نے اے جز بہک کے رکھا قدم کوئیمجھے پر لگائے شوق نے کہیں تھک کے میں جو ٹھہر گیاmujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhā qadam koīmujhe par lagā.e shauq ne kahīñ thak ke maiñ jo Thahar gayāنظم طباطبائیNazm Tabatabai
مجھے پیری اور شباب میں جو ہے امتیاز تو اس قدرکوئی جھونکا باد سحر کا تھا مرے پاس سے جو گزر گیاmujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadarkoī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayāنظم طباطبائیNazm Tabatabai
اثر اس کے عشوۂ ناز کا جو ہوا وہ کس سے بیاں کروںمجھے تو اجل کی ہے آرزو اسے وہم ہے کہ یہ مر گیاasar us ke ishva-e-nāz kā jo huā vo kis se bayāñ karūñmujhe to ajal kī hai aarzū use vahm hai ki ye mar gayāنظم طباطبائیNazm Tabatabai
شمع مزار اور یہ سوز جگر مراہر شب کریں گے زندگی ناساز میرے بعدsham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirāhar shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.adمیر تقی میرMir Taqi Mir