یہ غول وش ہیں ان کو سمجھ تو نہ رہ نماسائے سے بچ کے اہل فریب و دغل کے چلye ġhol-vash haiñ in ko samajh tū na rahnumāsaa.e se bach ke ahl-e-fareb-o-daġhal ke chalبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اتنا نہ اپنے جامے سے باہر نکل کے چلدنیا ہے چل چلاؤ کا رستہ سنبھل کے چلitnā na apne jaame se bāhar nikal ke chalduniyā hai chal-chalāv kā rasta sambhal ke chalبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کم ظرف پر غرور ذرا اپنا ظرف دیکھمانند جوش غم نہ زیادہ ابل کے چلkam-zarf pur-ġhurūr zarā apnā zarf dekhmānind josh-e-ġham na ziyāda ubal ke chalبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
فرصت ہے اک صدا کی یہاں سوز دل کے ساتھاس پر سپند وار نہ اتنا اچھل کے چلfursat hai ik sadā kī yahāñ soz-e-dil ke saathus par sapand-vār na itnā uchhal ke chalبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اوروں کے بل پہ بل نہ کر اتنا نہ چل نکلبل ہے تو بل کے بل پہ تو کچھ اپنے بل کے چلauroñ ke bal pe bal na kar itnā na chal nikalbal hai to bal ke bal pe tū kuchh apne bal ke chalبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar