رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اتنا نہ اپنے جامے سے باہر نکل کے چل

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 13 sher · Roman Urdu ke saath

itnā na apne jaame se bāhar nikal ke chalduniyā hai chal-chalāv kā rasta sambhal ke chal
kam-zarf pur-ġhurūr zarā apnā zarf dekhmānind josh-e-ġham na ziyāda ubal ke chal
fursat hai ik sadā kī yahāñ soz-e-dil ke saathus par sapand-vār na itnā uchhal ke chal
ye ġhol-vash haiñ in ko samajh tū na rahnumāsaa.e se bach ke ahl-e-fareb-o-daġhal ke chal
auroñ ke bal pe bal na kar itnā na chal nikalbal hai to bal ke bal pe tū kuchh apne bal ke chal
insāñ ko kal kā putlā banāyā hai us ne aapaur aap hī vo kahtā hai putle ko kal ke chal
phir āñkheñ bhī to diiñ haiñ ki rakh dekh kar qadamkahtā hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal
hai turfa amn-gāh nihāñ-ḳhāna-e-adamāñkhoñ ke rū-ba-rū se tū logoñ ke Tal ke chal
kyā chal sakegā ham se ki pahchānte haiñ hamtū laakh apnī chaal ko zālim badal ke chal
hai sham.a sar ke bal jo mohabbat meñ garm hoparvāna apne dil se ye kahtā hai jal ke chal
bulbul ke hosh nik.hat-e-gul kī tarah uḌāgulshan meñ mere saath zarā itr mal ke chal
gar qasd sū-e-dil hai tirā ai nigāh-e-yārdo-chār tiir paik se aage ajal ke chal
jo imtihān-e-tab.a kare apnā ai 'zafar'to kah do us ko taur pe tū is ġhazal ke chal