نہ کر ظالم دل آزاری جو یہ دل منظور ہے لیناکسی کا دل جو ہاتھ آیا تو دل داری سے ہاتھ آیاna kar zālim dil-āzārī jo ye dil manzūr hai lenākisī kā dil jo haath aayā to dildārī se haath aayāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ اس کا بھید یاری سے نہ عیاری سے ہاتھ آیاخدا آگاہ ہے دل کی خبرداری سے ہاتھ آیاna us kā bhed yaarī se na ayyārī se haath aayāḳhudā āgāh hai dil kī ḳhabardārī se haath aayāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ ہوں جن کے ٹھکانے ہوش وہ منزل کو کیا پہنچےکہ رستہ ہاتھ آیا جس کی ہشیاری سے ہاتھ آیاna hoñ jin ke Thikāne hosh vo manzil ko kyā pahuñcheki rasta haath aayā jis kī hushyārī se haath aayāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہوا حق میں ہمارے کیوں ستم گر آسماں اتناکوئی پوچھے کہ ظالم کیا ستم گاری سے ہاتھ آیاhuā haq meñ hamāre kyuuñ sitamgar āsmāñ itnākoī pūchhe ki zālim kyā sitamgārī se haath aayāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اگرچہ مال دنیا ہاتھ بھی آیا حریصوں کےتو دیکھا ہم نے کس کس ذلت و خواری سے ہاتھ آیاagarche māl-e-duniyā haath bhī aayā harīsoñ keto dekhā ham ne kis kis zillat-o-ḳhvārī se haath aayāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar