ہشیار ہو غفلت سے تو غافل نہ ہو اے دلاپنی تو نظر میں یہ جگہ بے وطنی ہےhushyār ho ġhaflat se tū ġhāfil na ho ai dilapnī to nazar meñ ye jagah be-vatanī haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
یاں خاک کا بستر ہے گلے میں کفنی ہےواں ہاتھ میں آئینہ ہے گل پیرہنی ہےyaañ ḳhaak kā bistar hai gale meñ kafnī haivaañ haath meñ ā.īna hai gul pairahanī haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہاتھوں سے ہمیں عشق کے دن رات نہیں چینفریاد و فغاں دن کو ہے شب نعرہ زنی ہےhāthoñ se hameñ ishq ke din raat nahīñ chainfariyād o fuġhāñ din ko hai shab nāra-zanī haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کچھ کہہ نہیں سکتا ہوں زباں سے کہ ذرا دیکھکیا جائے ہے جس جائے نہ کچھ دم زدنی ہےkuchh kah nahīñ saktā huuñ zabāñ se ki zarā dekhkyā jaa.e hai jis jaa.e na kuchh dam-zadanī haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
مژگاں پہ مرے لخت جگر ہی نہیں یارواس تار سے وہ رشتہ عقیق یمنی ہےmizhgāñ pe mire laḳht-e-jigar hī nahīñ yaarois taar se vo rishta aqīq-e-yamanī haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar