رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کعبہ میں جا رہا تو نہ دو طعنہ کیا کہیں

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 4 sher · Roman Urdu ke saath

kaabe meñ jā rahā to na do ta.ana kyā kaheñbhūlā huuñ haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
taa.at meñ tā rahe na mai-o-añgbīñ kī laagdozaḳh meñ Daal do koī le kar bahisht ko
huuñ munharif na kyuuñ rah-o-rasm-e-savāb seTeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko
'ġhālib' kuchh apnī sa.ī se lahnā nahīñ mujheḳhirman jale agar na malaḳh khaa.e kisht ko