کیونکر اس بت سے رکھوں جان عزیز
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 3 sher · Roman Urdu ke saath
kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziizkyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz
dil se niklā pe na niklā dil sehai tire tiir kā paikān aziiz
taab laa.e hī banegī 'ġhālib'vāqi.a saḳht hai aur jaan aziiz