میں اور بزم مے سے یوں تشنہ کام آؤں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 3 sher · Roman Urdu ke saath
maiñ aur bazm-e-mai se yuuñ tishna-kām aa.uuñgar maiñ ne kī thī tauba saaqī ko kyā huā thā
hai ek tiir jis meñ donoñ chhide paḌe haiñvo din ga.e ki apnā dil se jigar judā thā
darmāndagī meñ 'ġhālib' kuchh ban paḌe to jānūñjab rishta be-girah thā nāḳhun girah-kushā thā