یہ ہم جو ہجر میں دیوار و در کو دیکھتے ہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 4 sher · Roman Urdu ke saath
ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñkabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat haikabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū koye log kyuuñ mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
tire javāhīr-e-turf-e-kulah ko kyā dekheñham auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar ko dekhte haiñ