شعور و ہوش و خرد کا معاملہ ہے عجيب
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Maamla Hai AjeebMaqam-e-Shauq Mein Hain Sub Dil-o-Nazar Ke Raqeeb
Mein Janta Hun Jamaat Ka Hashar Kya Ho GaMasael-e-Nazari Mein Ulajh Gya Hai Khateeb
Agarche Mere Nasheeman Ka Kar Raha Hai TawwaafMeri Nawa Mein Nahin Taair-e-Chaman Ka Naseeb
Suna Hai Main Ne Sukhan Ras Hai Turk-e-UsmaniSunaye Kon Usse Iqbal Ka Ye Shair-e-Ghareeb
Samajh Rahe Hain Woh Yourap Ko Hum-Jawaar ApnaSitare Jin Ke Nasheman Se Hain Zaida Qareeb!