سمجھا لہو کي بوند اگر تو اسے تو خير
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 3 sher · Roman Urdu ke saath
Samjha Lahoo Ki Boond Agar Tu Issay To KhairDil Adami Ka Hai Faqt Ek Jazba’ay Buland
Gardish Mah-O-Sitara Ki Hai Nagwaar IsseDil Ap Apne Sham-O-Sahar Ka Hai Naqsh Band
Jis Khak Ke Zameer Mein Hai Aatish-E-ChinaarMumkin Nahin K Sard Ho Vo Khaak-E-Arjuman