Afkar Jawanon Ke Khafi Hon Ke Jali HonPoshida Nahin Mard-e-Qalandar Ki Nazar Se
Maloom Hain Mujh Ko Tere Ahwal Ke Main BhiMuddat Huwi Guzra Tha Iss Rah Se
Alfaz Ke Pechon Mein Ulajhte Nahin DanaGhawwas Ko Matlab Hai Sadaf Se Ke Guhar Se!
Paida Hai Faqat Halq-e-Arbab-e-Junoon MeinWoh Aqal Ke Pa Jati Hai Shaole ko Sharar Se
Jis Maani-e-Pecheeda Ki Tasdeeq Kare DilQeemat Mein Bohat Barh Ke Hai Tabinda Guhar Se
Ya Mudra Hai Ya Nazaa Ki Halat Mein GiraftarJo Falsafa Likha Na Gya Khoon-e-Jigar Se