Ae Peer-e-Haram! Rasm-o-Reh-e-Khanqahi ChorMaqsood Samajh Meri Nawa-e-Sehri Ka
Allah Rakhe Tere Jawanon Ko Salamat!De In Ko Sabaq Khud Shikani, Khud Nigari Ka
Tu In Ko Sikha Khara Shagafi Ke TareeqeMaghrib Ne Sikhaya Inhain Fann Shisha-Gari Ka
Dil Torh Gyi In Ka Do Sadiyon Ki GhulamiDaru Koi Soch In Ki Preshan Nazari Ka
Keh Jata Hun Main Zor-e-Junoon Mein Tere AsrarMujh Ko Bhi Sila De Meri Aashufta Sari Ka!