Iqbal! Yahan Naam Na Le Ilm-e-Khudi KaMozoon Nahin Maktab Ke Liye Aese Maqalat
Behtar Hai Ke Bechare Mamulon Ki Nazar SePoshida Rahain Baaz Ke Ahwal-o-Maqamat
Azad Ki Ek Aan Ha Mehkoom Ka Ek SaalKis Darja Garan Sair Hain Mehkoom Ke Auqat!
Azad Ka Har Lehza Payam-e-AbadiatMehkoom Ka Har Kehza Nayi Marg-e-Mafajat
Azad Ka Andesha Haqiqat Se MunawarMehkoom Ka Andesha Giraftar-e-Khurafat
Mehkoom Ko Peeron Ki Karamat Ka SodaHai Banda-e-Azad Khud Ek Zinda Karamat
Mehkoom Ke Haq Mein Hai Yehi Tarbiat AchiMausiqi-o-Sooratgari-o-Ilm-e-Nabatat!