رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ميري نوائے شوق سے شور حريم ذات ميں

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Meri Nawa’ay Shauq Se Shor Hareem-e-Zaat MeinGhalghala Ha’ay Al-Aman But Kada’ay Sifaat Mein
Hoor-o-Farishta Hain Aseer Mere Takhiyulat MeinMeri Nigah Se Khalal Teri Tajaliat Mein
Garche Hai Meri Justujoo Dair-e-Haram Ki Naqsh BandMeri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-O-Somanat Mein
Gah Meri Nigah-e-Taiz Cheer Gyi Dil-e-WujoodGah Uljah Ke Reh Gyi Meri Touwahamaat Mein
Tu Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Mujh Ko Bhi Fash Kar DiyaMain Hi Tou Aik Raaz Tha Sina’ay Kainat Mein !