کيا چرخ کج رو ، کيا مہر ، کيا ماہ
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Kya Charkh-e-Kajro, Kya Meher, Kya MahSub Rahru Hain Wa Manda-e-Rah
Karka Sikandar Bijli Ki ManindTujh Ko Khabar Hai Ae Marg-e-Nagah
Nadir Ne Looti Dilli Ki DoulatEk Zarb-e-Shamsheer, Afsana Kotah
Afghan Baqi, Kuhsar BaqiAlhukmu Lillah! Almulku Lillah!
Hajat Se Majboor Mardan-e-AzadKarti Hai Hajat Sheron Ko Rubah
Mehram Khudi Se Jis Dam Huwa FaqrTu Bhi Shehenshah, Mein Bhi Shehenshah
Qoumon Ki Taqdeer Woh Mard-e-DarvaishJis Ne Na Dhoondi Sultan Ki Dargah