رمزِ زندگیRamz E Zindagi

يہ کون غزل خواں ہے پرسوز و نشاط انگيز

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pursouz-o-Nishat AngaizAndesha’ay Dana Ko Karta Hai Junoon Amaiz
Gau Faqr Bhi Rakhta Hai Andaz-e-MulookanaNa-Pukhta Hai Pervaizi Be-Saltanat-e-Pervaiz
Ab Hujra’ay Sufi Mein Woh Faqr Nahin BaqiKhoon-e-Dil-e-Shairan Ho Jis Faqr Ki Dastavaiz
Ae Halqa’ay Darveshan! Who Mard-e-Khuda KaisaHo Jis Ke Gireeban Mein Hangama’ay Rastakhaiz
Jo Zakr Ki Garmi Se Shaule Ki Tarah RoshanJo Fikar Ki Sura’at Mein Bajli Se Zaida Taez !
Karti Hai Mulookiat Asaar-e-Junoon PaidaAllah Ke Nashtar Hain Taimoor Ho Ya Changaiz
Yun Dad-e-Sukhan Mujh Ko Dete Hain Iraq-o-ParasYe Kafir-e-Hindi Hai Be Taeg-o-Sanaan Khoonraiz