رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عام حکم شراب کرتا ہوں

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 6 sher · Roman Urdu ke saath

aam hukm-e-sharāb kartā huuñmohtasib ko kabāb kartā huuñ
Tuk to rah ai binā-e-hastī tūtujh ko kaisā ḳharāb kartā huuñ
bahs kartā huuñ ho ke abjad-ḳhvāñkis qadar be-hisāb kartā huuñ
koī bujhtī hai ye bhaḌak meñ abastishnagī par itaab kartā huuñ
sar talak āb-e-teġh meñ huuñ ġharqab ta.iiñ aab aab kartā huuñ
jī meñ phirtā hai 'mīr' vo merejāgtā huuñ ki ḳhvāb kartā huuñ