aaj distā hai haal kuchh kā kuchhkyuuñ na guzre ḳhayāl kuchh kā kuchh
dil-e-be-dil kuuñ aaj kartī haishoḳh chanchal kī chaal kuchh kā kuchh
mujko lagtā hai ai parī-paikaraaj terā jamāl kuchh kā kuchh
asar-e-bāda-e-javānī haikar gayā huuñ savāl kuchh kā kuchh
ai 'valī' dil kuuñ aaj kartī haibū-e-bāġh-e-visāl kuchh kā kuchh