پہنچنا داد کو مظلوم کا مشکل ہی ہوتا ہےکبھی قاضی نہیں ملتے کبھی قاتل نہیں ملتاpahuñchnā daad ko mazlūm kā mushkil hī hotā haikabhī qaazī nahīñ milte kabhī qātil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
طریق عشق میں مجھ کو کوئی کامل نہیں ملتاگئے فرہاد و مجنوں اب کسی سے دل نہیں ملتاtarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltāga.e farhād o majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
بھری ہے انجمن لیکن کسی سے دل نہیں ملتاہمیں میں آ گیا کچھ نقص یا کامل نہیں ملتاbharī hai anjuman lekin kisī se dil nahīñ miltāhamīñ meñ aa gayā kuchh naqs yā kāmil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پرانی روشنی میں اور نئی میں فرق اتنا ہےاسے کشتی نہیں ملتی اسے ساحل نہیں ملتاpurānī raushnī meñ aur na.ī meñ farq itnā haiuse kashtī nahīñ miltī ise sāhil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
حریفوں پر خزانے ہیں کھلے یاں ہجر گیسو ہےوہاں پہ بل ہے اور یاں سانپ کا بھی بل نہیں ملتاharīfoñ par ḳhazāne haiñ khule yaañ hijr-e-gesū haivahāñ pe bil hai aur yaañ saañp kā bhī bil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi