حریفوں پر خزانے ہیں کھلے یاں ہجر گیسو ہےوہاں پہ بل ہے اور یاں سانپ کا بھی بل نہیں ملتاharīfoñ par ḳhazāne haiñ khule yaañ hijr-e-gesū haivahāñ pe bil hai aur yaañ saañp kā bhī bil nahīñ miltāJudaiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
طریق عشق میں مجھ کو کوئی کامل نہیں ملتاگئے فرہاد و مجنوں اب کسی سے دل نہیں ملتاtarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltāga.e farhād o majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
بھری ہے انجمن لیکن کسی سے دل نہیں ملتاہمیں میں آ گیا کچھ نقص یا کامل نہیں ملتاbharī hai anjuman lekin kisī se dil nahīñ miltāhamīñ meñ aa gayā kuchh naqs yā kāmil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پرانی روشنی میں اور نئی میں فرق اتنا ہےاسے کشتی نہیں ملتی اسے ساحل نہیں ملتاpurānī raushnī meñ aur na.ī meñ farq itnā haiuse kashtī nahīñ miltī ise sāhil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پہنچنا داد کو مظلوم کا مشکل ہی ہوتا ہےکبھی قاضی نہیں ملتے کبھی قاتل نہیں ملتاpahuñchnā daad ko mazlūm kā mushkil hī hotā haikabhī qaazī nahīñ milte kabhī qātil nahīñ miltāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
ہے بہت دشوار مرنا یہ سنا کرتے تھے ہمپر جدائی میں تری ہم نے جو دیکھا سہل ہےhai bahut dushvār marnā ye sunā karte the hampar judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
بڑھ گئی جب پدر کو مہر پسراس کو اس سے جدا کیا تو نےbaḌh ga.ī jab pidar ko mehr-e-pisarus ko us se judā kiyā tū neالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
آتش ہجر لالہ رو سوں ولیداغ سینے میں یادگاری ہےātish-e-hijr-e-lāla-rū suuñ 'valī'daaġh siine meñ yādgārī haiولی دکنیWali Dakani