ہے بہت دشوار مرنا یہ سنا کرتے تھے ہمپر جدائی میں تری ہم نے جو دیکھا سہل ہےhai bahut dushvār marnā ye sunā karte the hampar judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl haiJudaiMautبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
عشق تو مشکل ہے اے دل کون کہتا سہل ہےلیک نادانی سے اپنی تو نے سمجھا سہل ہےishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hailek nādānī se apnī tū ne samjhā sahl haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گر کھلے دل کی گرہ تجھ سے تو ہم جانیں تجھےاے صبا غنچے کا عقدہ کھول دینا سہل ہےgar khule dil kī girah tujh se to ham jāneñ tujheai sabā ġhunche kā uqda khol denā sahl haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہمدمو دل کے لگانے میں کہو لگتا ہے کیاپر چھڑانا اس کا مشکل ہے لگانا سہل ہےhamdamo dil ke lagāne meñ kaho lagtā hai kyāpar chhuḌānā is kā mushkil hai lagānā sahl haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گرچہ مشکل ہے بہت میرا علاج درد دلپر جو تو چاہے تو اے رشک مسیحا سہل ہےgarche mushkil hai bahut merā ilāj-e-dard-e-dilpar jo tū chāhe to ai rashk-e-masīhā sahl haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کس فرصت وصال پہ ہے گل کو عندلیبزخم فراق خندۂ بیجا کہیں جسےkis fursat-e-visāl pe hai gul ko andalībzaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jiseمرزا غالبMirza Ghalib
اے شب ہجر راست کہہ تجھ کوبات کچھ صبح کی بھی آتی ہےai shab-e-hijr raast kah tujh kobaat kuchh sub.h kī bhī aatī haiمیر تقی میرMir Taqi Mir
اندھیری شب ہے جدا اپنے قافلے سے ہے توترے لیے ہے مرا شعلۂ نوا قندیلañdherī shab hai judā apne qāfile se hai tūtire liye hai mirā shola-e-navā qindīlعلامہ اقبالAllama Iqbal