توجہ اپنی ہو کیا فن شاعری کی طرفنظر ہر ایک کی جاتی ہے عیب ہی کی طرفtavajjoh apnī ho kyā fann-e-shā.irī kī tarafnazar har ek kī jaatī hai aib hī kī tarafاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
انہیں نگاہ ہے اپنے جمال ہی کی طرفنظر اٹھا کے نہیں دیکھتے کسی کی طرفunheñ nigāh hai apne jamāl hī kī tarafnazar uThā ke nahīñ dekhte kisī kī tarafاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
لکھا ہوا ہے جو رونا مرے مقدر میںخیال تک نہیں جاتا کبھی ہنسی کی طرفlikhā huā hai jo ronā mire muqaddar meñḳhayāl tak nahīñ jaatā kabhī hañsī kī tarafاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
تمہارا سایہ بھی جو لوگ دیکھ لیتے ہیںوہ آنکھ اٹھا کے نہیں دیکھتے پری کی طرفtumhārā saaya bhī jo log dekh lete haiñvo aañkh uThā ke nahīñ dekhte parī kī tarafاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
بلا میں پھنستا ہے دل مفت جان جاتی ہےخدا کسی کو نہ لے جائے اس گلی کی طرفbalā meñ phañstā hai dil muft jaan jaatī haiḳhudā kisī ko na le jaa.e us galī kī tarafاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi