میں یہاں ہوں وہاں ہے دل میرانارسائی عجب رسائی ہےmaiñ yahāñ huuñ vahāñ hai dil merānā-rasā.ī ajab rasā.ī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
دل چرا کر نظر چرائی ہےلٹ گئے لٹ گئے دہائی ہےdil churā kar nazar churā.ī hailuT ga.e luT ga.e duhā.ī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
ایک دن مل کے پھر نہیں ملتےکس قیامت کی یہ جدائی ہےek din mil ke phir nahīñ miltekis qayāmat kī ye judā.ī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
اے اثر کر نہ انتظار دعامانگنا سخت بے حیائی ہےai asar kar na intizār-e-duāmāñgnā saḳht be-hayā.ī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
اس طرح اہل ناز ناز کریںبندگی ہے کہ یہ خدائی ہےis tarah ahl-e-nāz naaz kareñbandagī hai ki ye ḳhudā.ī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi