کیا اضطراب شوق نے مجھ کو خجل کیاوہ پوچھتے ہیں کہئے ارادے کہاں کے ہیںkyā iztirāb-e-shauq ne mujh ko ḳhajil kiyāvo pūchhte haiñ kahiye irāde kahāñ ke haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جلوے مری نگاہ میں کون و مکاں کے ہیںمجھ سے کہاں چھپیں گے وہ ایسے کہاں کے ہیںjalve mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ ke haiñmujh se kahāñ chhupeñge vo aise kahāñ ke haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کھلتے نہیں ہیں راز جو سوز نہاں کے ہیںکیا پھوٹنے کے واسطے چھالے زباں کے ہیںkhulte nahīñ haiñ raaz jo soz-e-nihāñ ke haiñkyā phūTne ke vāste chhāle zabāñ ke haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کرتے ہیں قتل وہ طلب مغفرت کے بعدجو تھے دعا کے ہاتھ وہی امتحاں کے ہیںkarte haiñ qatl vo talab-e-maġhfirat ke ba.adjo the duā ke haath vahī imtihāñ ke haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جس روز کچھ شریک ہوئی میری مشت خاکاس روز سے زمیں پہ ستم آسماں کے ہیںjis roz kuchh sharīk huī merī musht-e-ḳhākus roz se zamīñ pe sitam āsmāñ ke haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi