کہوں حال دل تو کہیں اس سے حاصلسبھی کو خبر ہے سبھی جانتے ہیںkahūñ hāl-e-dil to kaheñ us se hāsilsabhī ko ḳhabar hai sabhī jānte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
مزے عشق کے کچھ وہی جانتے ہیںکہ جو موت کو زندگی جانتے ہیںmaze ishq ke kuchh vahī jānte haiñki jo maut ko zindagī jānte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
شب وصل لیں ان کی اتنی بلائیںکہ ہمدم مرے ہاتھ ہی جانتے ہیںshab-e-vasl liiñ un kī itnī balā.eñki hamdam mire haath hī jānte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
نہ ہو دل تو کیا لطف آزار و راحتبرابر خوشی ناخوشی جانتے ہیںna ho dil to kyā lutf-e-āzār-o-rāhatbarābar ḳhushī nā-ḳhushī jānte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جو ہے میرے دل میں انہیں کو خبر ہےجو میں جانتا ہوں وہی جانتے ہیںjo hai mere dil meñ unhīñ ko ḳhabar haijo maiñ jāntā huuñ vahī jānte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi