دل لگی ان کی دل لگی ہی نہیںرنج بھی ہے فقط ہنسی ہی نہیںdil-lagī un kī dil-lagī hī nahīñranj bhī hai faqat hañsī hī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
بات میری کبھی سنی ہی نہیںجانتے وہ بری بھلی ہی نہیںbaat merī kabhī sunī hī nahīñjānte vo burī bhalī hī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
لطف مے تجھ سے کیا کہوں زاہدہائے کم بخت تو نے پی ہی نہیںlutf-e-mai tujh se kyā kahūñ zāhidhaa.e kam-baḳht tū ne pī hī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
اڑ گئی یوں وفا زمانے سےکبھی گویا کسی میں تھی ہی نہیںuḌ ga.ī yuuñ vafā zamāne sekabhī goyā kisī meñ thī hī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جان کیا دوں کہ جانتا ہوں میںتم نے یہ چیز لے کے دی ہی نہیںjaan kyā duuñ ki jāntā huuñ maiñtum ne ye chiiz le ke dī hī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi