ادھر وہ بد گمانی ہے ادھر یہ ناتوانی ہےنہ پوچھا جائے ہے اس سے نہ بولا جائے ہے مجھ سےudhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī haina pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh seمرزا غالبMirza Ghalib
کبھی نیکی بھی اس کے جی میں گر آ جائے ہے مجھ سےجفائیں کر کے اپنی یاد شرما جائے ہے مجھ سےkabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jaa.e hai mujh sejafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh seمرزا غالبMirza Ghalib
خدایا جذبۂ دل کی مگر تاثیر الٹی ہےکہ جتنا کھینچتا ہوں اور کھنچتا جائے ہے مجھ سےḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī haiki jitnā khīñchtā huuñ aur khiñchtā jaa.e hai mujh seمرزا غالبMirza Ghalib
وہ بد خو اور میری داستان عشق طولانیعبارت مختصر قاصد بھی گھبرا جائے ہے مجھ سےvo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānīibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh seمرزا غالبMirza Ghalib
سنبھلنے دے مجھے اے نا امیدی کیا قیامت ہےکہ دامان خیال یار چھوٹا جائے ہے مجھ سےsambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat haiki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh seمرزا غالبMirza Ghalib