رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کبھی نیکی بھی اس کے جی میں گر آ جائے ہے مجھ سے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath

kabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jaa.e hai mujh sejafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh se
ḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī haiki jitnā khīñchtā huuñ aur khiñchtā jaa.e hai mujh se
vo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānīibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh se
udhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī haina pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh se
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat haiki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se
takalluf bartaraf nazzārgī meñ bhī sahī lekinvo dekhā jaa.e kab ye zulm dekhā jaa.e hai mujh se
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmīna bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se
qayāmat hai ki hove mudda.ī kā ham-safar 'ġhālib'vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se