ہوں ظہوری کے مقابل میں خفائی غالبمیرے دعوے پہ یہ حجت ہے کہ مشہور نہیںhuuñ zuhūrī ke muqābil meñ ḳhifā.ī 'ġhālib'mere da.ave pe ye hujjat hai ki mash.hūr nahīñمرزا غالبMirza Ghalib
ذکر میرا بہ بدی بھی اسے منظور نہیںغیر کی بات بگڑ جائے تو کچھ دور نہیںzikr merā ba-badī bhī use manzūr nahīñġhair kī baat bigaḌ jaa.e to kuchh duur nahīñمرزا غالبMirza Ghalib
وعدۂ سیر گلستاں ہے خوشا طالع شوقمژدۂ قتل مقدر ہے جو مذکور نہیںvada-e-sair-e-gulistāñ hai ḳhushā tāle-e-shauqmuzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkūr nahīñمرزا غالبMirza Ghalib
شاہد ہستی مطلق کی کمر ہے عالملوگ کہتے ہیں کہ ہے پر ہمیں منظور نہیںshāhid-e-hastī-e-mutlaq kī kamar hai aalamlog kahte haiñ ki hai par hameñ manzūr nahīñمرزا غالبMirza Ghalib
قطرہ اپنا بھی حقیقت میں ہے دریا لیکنہم کو تقلید تنک ظرفی منصور نہیںqatra apnā bhī haqīqat meñ hai dariyā lekinham ko taqlīd-e-tunuk-zarfi-e-mansūr nahīñمرزا غالبMirza Ghalib