ذکر میرا بہ بدی بھی اسے منظور نہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
zikr merā ba-badī bhī use manzūr nahīñġhair kī baat bigaḌ jaa.e to kuchh duur nahīñ
vada-e-sair-e-gulistāñ hai ḳhushā tāle-e-shauqmuzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkūr nahīñ
shāhid-e-hastī-e-mutlaq kī kamar hai aalamlog kahte haiñ ki hai par hameñ manzūr nahīñ
qatra apnā bhī haqīqat meñ hai dariyā lekinham ko taqlīd-e-tunuk-zarfi-e-mansūr nahīñ
hasrat ai zauq-e-ḳharābī ki vo tāqat na rahīishq-e-pur-arbada kī guuñ tan-e-ranjūr nahīñ
maiñ jo kahtā huuñ ki ham leñge qayāmat meñ tumheñkis ra.ūnat se vo kahte haiñ ki ham huur nahīñ
zulm kar zulm agar lutf dareġh aatā hotū taġhāful meñ kisī rañg se ma.azūr nahīñ
saaf durdi-kash-e-paimāna-e-jam haiñ ham logvaa.e vo baada ki afsharda-e-añgūr nahīñ
huuñ zuhūrī ke muqābil meñ ḳhifā.ī 'ġhālib'mere da.ave pe ye hujjat hai ki mash.hūr nahīñ