عرض کیجے جوہر اندیشہ کی گرمی کہاںکچھ خیال آیا تھا وحشت کا کہ صحرا جل گیاarz kiije jauhar-e-andesha kī garmī kahāñkuchh ḳhayāl aayā thā vahshat kā ki sahrā jal gayāمرزا غالبMirza Ghalib
دل مرا سوز نہاں سے بے محابا جل گیاآتش خاموش کی مانند گویا جل گیاdil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayāātish-e-ḳhāmosh kī mānind goyā jal gayāمرزا غالبMirza Ghalib
دل میں ذوق وصل و یاد یار تک باقی نہیںآگ اس گھر میں لگی ایسی کہ جو تھا جل گیاdil meñ zauq-e-vasl o yād-e-yār tak baaqī nahīñaag is ghar meñ lagī aisī ki jo thā jal gayāمرزا غالبMirza Ghalib
میں عدم سے بھی پرے ہوں ورنہ غافل بارہامیری آہ آتشیں سے بال عنقا جل گیاmaiñ adam se bhī pare huuñ varna ġhāfil bār-hāmerī āh-e-ātishīñ se bāl-e-anqā jal gayāمرزا غالبMirza Ghalib
دل نہیں تجھ کو دکھاتا ورنہ داغوں کی بہاراس چراغاں کا کروں کیا کار فرما جل گیاdil nahīñ tujh ko dikhātā varna dāġhoñ kī bahāris charāġhāñ kā karūñ kyā kār-farmā jal gayāمرزا غالبMirza Ghalib