خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہےکہ میں اس فکر میں رہتا ہوں میری انتہا کیا ہےḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā haiki maiñ is fikr meñ rahtā huuñ merī intihā kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلےخدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہےḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahleḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
مقام گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوںیہی سوز نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہےmaqām-e-guftugū kyā hai agar maiñ kīmiyā-gar huuñyahī soz-e-nafas hai aur merī kīmiyā kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میںنہ پوچھ اے ہم نشیں مجھ سے وہ چشم سرمہ سا کیا ہےnazar aa.iiñ mujhe taqdīr kī gahrā.iyāñ is meñna pūchh ai ham-nashīñ mujh se vo chashm-e-surma-sā kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میںتو اقبال اس کو سمجھاتا مقام کبریا کیا ہےagar hotā vo majzūb-e-farañgī is zamāne meñto 'iqbāl' us ko samjhātā maqām-e-kibriyā kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal