رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā haiki maiñ is fikr meñ rahtā huuñ merī intihā kyā hai
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahleḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
maqām-e-guftugū kyā hai agar maiñ kīmiyā-gar huuñyahī soz-e-nafas hai aur merī kīmiyā kyā hai
nazar aa.iiñ mujhe taqdīr kī gahrā.iyāñ is meñna pūchh ai ham-nashīñ mujh se vo chashm-e-surma-sā kyā hai
agar hotā vo majzūb-e-farañgī is zamāne meñto 'iqbāl' us ko samjhātā maqām-e-kibriyā kyā hai
navā-e-sub.h-gāhī ne jigar ḳhuuñ kar diyā merāḳhudāyā jis ḳhatā kī ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai