مجنوں نے شہر چھوڑا تو صحرا بھی چھوڑ دےنظارے کی ہوس ہو تو لیلی بھی چھوڑ دےmajnūñ ne shahr chhoḌā to sahrā bhī chhoḌ denazzāre kī havas ho to lailā bhī chhoḌ deعلامہ اقبالAllama Iqbal
واعظ کمال ترک سے ملتی ہے یاں مراددنیا جو چھوڑ دی ہے تو عقبی بھی چھوڑ دےvaa.iz kamāl-e-tark se miltī hai yaañ murādduniyā jo chhoḌ dī hai to uqbā bhī chhoḌ deعلامہ اقبالAllama Iqbal
تقلید کی روش سے تو بہتر ہے خودکشیرستہ بھی ڈھونڈ خضر کا سودا بھی چھوڑ دےtaqlīd kī ravish se to behtar hai ḳhud-kushīrasta bhī DhūñD ḳhizr kā saudā bhī chhoḌ deعلامہ اقبالAllama Iqbal
مانند خامہ تیری زباں پر ہے حرف غیربیگانہ شے پہ نازش بے جا بھی چھوڑ دےmānind-e-ḳhāma terī zabāñ par hai harf-e-ġhairbegāna shai pe nāzish-e-bejā bhī chhoḌ deعلامہ اقبالAllama Iqbal
لطف کلام کیا جو نہ ہو دل میں درد عشقبسمل نہیں ہے تو تو تڑپنا بھی چھوڑ دےlutf-e-kalām kyā jo na ho dil meñ dard-e-ishqbismil nahīñ hai tū to taḌapnā bhī chhoḌ deعلامہ اقبالAllama Iqbal